Sponsored Links

Friday, August 15, 2014

68th Independence day

A Typical Hindi Poem on this wonderful occasion.
So here it goes..

Gaandhi hue,
Subhaash hue,
Lakshmibai hui jahan ki raani,
Sone ki chidia tha yeh watan,
saari dunia yeh baat maani,

Jis watan ki swatantra shwaas ke liye
Bhagat singh shaheed-e-azam hua tha,

Mangal ko jab aazadi ka ehsaas hua tha,
Aazaadi ka woh daur bahut khaas hua tha,

Aaj iss desh ko dekh kehte yeh senani ki haar ham gaye,
Angrezon se hamne chudaya phir bhi aaj desh ke log sab kuritiyon ke gulaam ho gye,
Bhrashtachaar aur mehangai ke charche aam ho gye..

Dushtachari aur paapiyon ka yeh samaj ho gya hai..
nirdayi aur kapati yeh aaj ho gya hai,

Ab hamein kuch karna hoga,
aise bhrashta samaaj se ladna hoga,

Ham laaenge khushhaali logon ki,
mitaenge bad haali logon ki,

Jab ghar ghar mein roti hogi raashan hoga,
Tab bhook mari se naa samaaj ka shoshan hoga,

Jab gaaon-gaaon mein bijli hogi,
har ghar pe chhat hogi,
jahaan pakki har sadak hogi,

Agar yahi haalaat rahe toh desh mein phir kisi ka raaj ho jaaega,
 Yeh desh jo sone ki chidia tha,
phir kisi pinjre mein aarthik gulaam ho jaaega..

1 comment: