Sponsored Links

Saturday, September 20, 2014

मैं ऎसा क्यों हूँ?



Sab karte mujhse yahi sawaal ki mein aisa kyu hoon?
machta har roz yahi bawaal ki mein aisa kyun hoon?

Mere alfaazon se jyaada,
mujhe lagaav hai khaamoshi se apni,

chup rehta hoon mein,
kahan kuchh kehhta hoon mein,
lagaav sa hai mujhe khaamoshi se apni,

Mujhe pasand hai chand ko taakna raaton mein,
tahalna bhigi sadkon pe raat ke gehre sannaaaton mein,

meri chahte hai kam,
ummidein hai jyaada,
aadhi khushi hai,
gamm hai aadha,

Subah ki pehli kiran ko uthkar shukriya karna aata nahi hai,
karna chahta hai bahut yeh dil magar kar kuch paata nahi hai,

jaaun kiske paas mujhe yeh samajh aata nahi hai,

Kaash! koi mujhe yeh samjhaye aisa hone mein pareshaani kya hai ..?
bahut hein mujh jaise mujh mein khaas kahani kya hai..?

Mein jaisa hoon ,mein yun hoon,
Naa puchho mujhse mein aisa kyu hoon,

No comments:

Post a Comment